Thursday, September 29, 2011

Good morning mumbai dialogue. Lage Raho Munnabhai (Vidya Balan)

Shaher ki is daud me daud ke karna kya hai?
Jab yehi jeena hai dosto to phir marna kya hai?
Paheli barish me train late hone ki fikr hai
Bhul gaye bhigte hue tahelna kya hai?
Serials ke kirdaaro ka saara haal hai malum
par maa ka haal puchhne ki fursat kaha hai?
Ab ret pe nange pao tahelte kyu nahi?
108 hai chanel phir dil bahelte kyu nahi?
Internet se duniya ke to touch me hai,
lekin pados me kon raheta hai jaante tak nahi.
Mobile, Landline sab ki bharmaar hai,
Lekin jigri dost tak pahuche aise taar kaha hai?
Kab dubte hue suraj ko dekha tha, yaad hai?
Kab jaana tha shaam ka guzarna kya hai?
To Dosto Shaher ki is daud me daud ke karna kya hai
Jab yahi jeena hai to phir Marna kya hai?

3 comments:

KUNDAN KASHYAP said...

every1 should think about the philosphy.

Unknown said...

This lines have a very intense meaning that everyone should think atleast once...

Mukhtar said...

Love these dialogues. it is a reality.